Jagah JI lagane ki Duniya - Junaid Jamshed With Lyrics



Anokhi Waza Hai Saray Zamanay Say Niralay Hain 
Yeh Aashiq Kaunsi Basti Kay Yaa Rab Rehnay Walay Hain 
Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai 
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai 
Jahan Main Hain Ibrat Kay Har Su Namoonay 
Magar Tujhko Andha Kiya Rang-o-Bu Nay 
Kabhi Ghaur Say Bhi Yeh Dekha Hai Tu Nay
 Jo Maamoor Thay Wo Mehel Ab Hain Sooonay
 Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai 
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai 
Milay Khaak Main Ahl-e-Shaan Kesay Kesay
 Makeen Ho Gaye La Makaan Kesay Kesay
 Huey Namwar Bay Nishaan Kesay Kesay
 Zameen Kha Gayee NauJawan Kesay Kesay
 Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Ha
i Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai
 Zameen Kay Huey Log Paiwand Kya Kya
 Maluk-o-Huzur-o-Khudawand Kya Kya
 Dikhaye Ga Tu Chand Roz Kya Kya 
Ajal Nay Picharray Tan-o-Mand Kya Kya
 Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
 Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai
 Ajal Nay Na Kisra Hi Chora Na Daara
 Isi Say Sikandar Sa Fateh Bhi Hara 
Har Aik Chor Kay Kya Kya Hasrat Sidhara 
Parra Reh Gaya Sab Yahin Khaat Sara
 Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai 
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai 
Tujhay Pehlay Bachpan Nay Barson Khilaya
 Jawani Nay Phir Tujhko Majnoon Banaya
 Burr`haapay Nay Phir Aa Kay Kya Kya Sataya
 Ajal Tera Kar Day Ge Bilkul Safaya
 Yehi Tujhko Dhun Hai Rahun Sab Say Bala Ho
 Zeenat Nirali Ho Fashion Nirala 
Jiya Karta Hai Kya Yunhi Marnay Wala 
Tujhay Husn-e-Zahir Nay Dhokay Main Dal
a Wo Hai Aaish-o-Ishrat Ka Koi Mehel Bhi
 Jahan Taak Main Khari Ho Ajal Bhi 
Bas Ab Is Jahalat Say Tu Nikal Bhi
 Yeh Tarz-e-Maishat Ab Apna Badal Bhi 
Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai 
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai 
Yeh Duniya-e-Fani Hai Mehboob Tujhko
 Hui Wah Kya Cheez Marghub Tujhko
 Nahin Aqal Itni Bhi Majzoob Tujhko
 Samajh Lena Ab Chahiye Khoob Tujhko
 Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
 Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai
 Burr`hapay Say Paa Kar Payam-e-Qaza Bhi
 Na Chaunka Na Cheeta Na Samnbhla Zara Bhi 
Koi Teri Ghaflat Ki Hai Inteha Bhi
 Junoon Chor Kar Apnay Hoshon Main Aa Bhi
 Jab Is Bazm Say Chal Diye Dost Aksar 
Aur Uthtay Chalay Ja Rahay Hain Baraabar
 Har Waqt Paish-e-Nazar Hai Yeh Manzar 
Yahan Par Tera Dil Behelta Hai Kionkar
 Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
 Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai
 Jahan Main Kahin Shor-e-Maatam Bapa Hai 
Kahin Fikr-o-Faqah Say Aah-o-Baqa Hai
 Kahin Shikwa`Jor-o-Makr-o-Dawa Hai
 Gharz Har Taraf Say Yehi Bas Sada Hai
 Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
 Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai

No comments:

Post a Comment