23rd March “Day of Pakistan

23rd March “Day of Pakistan”.  What You are going to do on this day  ? Chutti hai aram karenge??? Main chahta hoon  aaj kuch der Pakistan ke baare main soche. Pakistan aaj ke din duniya main pehla Islamic Republic bana tha.  I have a question kya  Pakistan waqai main Islamic Republic hai? Did Pakistan develop in these years???  Pakistan Hindustan se alag hua 1947 main deen ke liye Islam ke liye. Kya hum usi taraf ja rahe hain jahan humein jaana chahiye? Jo Pakistan ke liye shaheed hue kya humne unki qurbani ko sahi tarah pehchana unka haq ada  kiya??  Please think for a while for Pakistan.
Pakistan jab bana tha tab buzurgon ne kaha tha Pakistan ka matlab kiya LA- ILAHA ILALLAH means ALLAH ke hukum par challenge Islam par chalenge lekin aaj Pakistan main brothels,bar, Night club , movies, corruption , Politicians corrupt , Electricity problems, etc jaisi buraiyan  hain.  Log Pakistan ki burai karte hain koi cricket team Pakistan nahin aana chahti . I am not in Pak lekin phir bhi mujhe takleef hoti hai jab koi paksitan ke baare main bura bolta hai aakhir kyun hai aisa ?????? Whyyyyyyy??????? Because hum apne basic se hat gaye deen se hat gaye , apne hi culture ko chorh diya apni haqeeqat se door ho gaye aur dusron ke culture ko apna liya. Jo log Pakistan ke liye shaheed hue kya humne unki qurbani ka haq ada kiya??? Humein har pak ki burai karne wale ko jawab dena hai lekin jawab dena ka matlab yeh nahin ke hum unse larhe, Main ek qissa batata hoon, India train main safar karte hain to TC(ticket checker) hota hai ticket check karta hai ek baar ek hindu family safar kar rahi thi to unki seat reserve nahin hui TC aaya aur unse kaha ke seat hai dusre compartment aayein to mostly TC iske paise lete hain means bribe  who TC muslim tha darhi thi usne unhein seats dilayi lekin jab us family ka head jo ek aadmi tha around 40 usne use paise dene chahe to TC ne kaha yeh mera kaam hai iske agar main paise loon to haram hai. Aap jante hain us hindu insaan ne kya jawab diya . usne TC se kaha tumne meri 40 years ki galat fehmi door kardi main muslims se nafrat karta tha lekin aaj tumne meri thinking badal di. Isi tarah humein karna hai apne aapko itna acha karna hai ke log humein acha kehne par majboor ho jayein. Humein deen par chalna hai humara mulk khud ba khud acha ho jayega. Sab Pakistani ek hain aaj logon ne baant diya hai main sindhi,  Punjabi,pathan , why don’t we say we are muslims, we are Pakistani??? Jab tak hum sab ek nahin honge to humara mulk kaise acha hoga iska hum logon ki larhai main koi bahar aakar hum par hukumat karega aur woh kar rahe hain directly  na sahi in directly hi aaj humne unke culture ko apna liya hai unka pehnawa, sab kuch unka humara Pakistani culture kahan hai , humari halat kya ho gayi , kya aap logon ko dukh nahin hota . mujhe to hota hai being an indian bhi. We need to change and remove all evils  from Pakistan. Woh kaise hoga bas humne maqsad par aa jayein Pakistan ke maqsad par aa jayein . Islamic culture ko apnao buraiyon se parhez karo achchai ka hukum karo. Choti choti burayi ko khatam kareinjaise jhooth , dhokha , fareb, gibat , chugli etc  barhi burai khud door ho jayegi. Jahan tak main janta hoon Pakistan main kisi baat ki koi kami nahin hai aur jin logon se main baat karta hoon  MASHA – ALLAH se woh sab to bahut ache hain I ‘mean aap sab . Pakistan deserves to be one of the best country in the world. Bus thoda apne aap ko pehchanna hai apne culture ko manna hai . Yakeen kijiye jab hum apne culture yaani Islamic culture ko follow karenge to koi hum par ungli bhi nahin Utha sakta…………………
Aaj Resolution Day bhi kyun hum sab ek resolution karein ke hum apni life main jhooth nahin bolenge. Aaj se hum koshish karenge ke jhooth nahin bolenge koshish karein sacha bolne ki saath ALLAH dega main bhi jhooth bolta tha lekin maine logon se bolna shurru ki kiya jhooth nahin bolo phir ek din aisa aaya ke  main jab bhi jhooth bolna chahoon to meri rooh mujhe rokti hai. ALLAH kar darr paida karo kyunki hum jhooth bolkar duniya main bach sakte hain aakhrat main .  main ap logon se request karta hoon ke jhooth bolne se bachein

Main koi lecturer , professor, ya politician nahin hu jise koi speech deni hai, mere dil  main jo tha likh diya umeed karta hoon aap sab gaur karenge. Kyunki jo baat dil se nikalti hai dil tak zaroor pahunchti hai  Buraiyon ko khatam karna hai aur milkar rehna hai jab hi hum ek paak saaf khushhal Pakistan haasil kar payenge.
ALLAH hum sab ko kehne sunne se zyada amal ki tofiq de aur gunahon se humari hifazat kare . Mujhse koi galti hui ho to mujhe maaf kar dijiyega
Aisi Zamee'n Aur Aasma'n Inkay Siwa Jaana Kahan
Bhadti Rahay Yeh Roshni Chalta Rahay Yeh Karvan
Dil Dil Pakistan Jaa'n Jaa'n Pakistan Dil Dil Pakistan Jaa'n Jaa'n Pakistan


                                                                Apki duaon ka talabgar
Abdul Basit Khan




No comments:

Post a Comment