BATON SE KHUSHBOO AAYE
Eeman aur haya 2 aise parinde hain keh agar in mein se koi aik urrh jae tou dusra khud hi urrh jata hai
Mujhe jannat se ziyada masjid achi lagti hai .kyun keh jannat mein jaane se mera nafs khush hoga aur masjid mein jaane se mera ALLAH khush hoga
Momin ka imtehaan takleef aur moseebat se hota hai.jis tarah khalis sone ki azmaish aag se hoti hai
Shuker ada karte raha karo us rab ka jo bardasht se ziyada dukh nahi deta mager auqaat se ziyada sukh zaroor deta hai
Mujhe ALLAH par tou yaqeen hai keh woh meri dua zaroor qabool kare ga,lakin mujhe khud pe yaqeen nahi keh mein is dua ki qaboliyat ke laiq hoon ya nahi???
Kuan kehta hai keh ALLAH nazar nahi aata........................wahi nazar aata hai jab kuch nazar nahi aata.
ALLAH ke khauf se girne wala aansoo beshak chota kyun na ho lakin is mein itni taqat hoti hai keh woh samandar ke barabar gunah meta deta hai
Logon ke khuaf se haq baat kehne se na daro,kyun keh na tou koi insaan kisi ki mout ko kareeb kar sakta hai.aur na to koi rizq ko door kar sakta hai.
Agar aap ko woh sab mil jaye jis mein aap ki marzi thi tou ALLAH ka shukar aada karo jis ne aap ki marzi poori ki. aur agar aap ko woh na mile jo aap ki marzi thi tou usse ziyada ALLAH ka shukar aada karo keh woh aap ko apni marzi se dena chahta hai .
No comments:
Post a Comment