ALLAH Ke Nabi S.A.W Ne Hazrat Umar R.A. Se Farmaya Ae Umar Tumhare Zamane Main Ek Shakhs Aayega Uska Naam Hoga Uwais (Awais) Uska Rang Hoga Kaala Uska Kabeela Hoga Muraad Uski Shaakh Hogi Qarn Aur Uske Jism Par Ek Safed Nishaan Hoga Jab Woh Aaye To Usse Apne Liye Dua Karana Ali Tum Bhi Karana.Hazrat Umar Aur Hazrat Ali R.A. Hairan Pareshan Ke ALLAH Ke Rasool Humse Dua Karane Ko Keh Rahe Hain Hum Sahabi Who Tabayi ( Main Yeh Baat Qasam Khake Kehta Hoon Ke Agar Awais Jaison Se Duniya Bhar Jaye To Bhi Umar Aur Ali R.A Ke Baal Ke Barabar Bhi Nahi ) Phir ALLAH Ke Rasool S.A.W Ne Farmaya Ke Usne Apni Maa Ki Aisi Khidmat Ki Hai Jab Woh Dua Ke Liye Haath Uthata Hai To ALLAH USke Haath Khaali Wapas Morhta Hi Nahi…….
(ALLAH U Akbar)..
Hazrat Umar Ra Har Saal Hajj Main Usko Dhoondhte Ek Martaba Beech Ke Saalon Main Aapne Saare Haajiyon Ko Jama Kiya Aur Sab Ko Kaha Kharhe Ho Jao . Phir Farmaya Ke Sab Beth Jao Bas Yemen Wale Kharhe Rahe . Sab Beth Gaye Yemen Wale Kharhe Rahe Phir Farmaya Sab Beth Jao Kabeela Muraad Wale Kharhe Raho .Sab Beth Gaye Bas Kabeela Muraad Wale Kharhe Rahe .Phir Farmaya Sab Beth Jao Bas Qarn Wale Kharhe Raho Sab Beth Gaye Bas Ek Aadmi Bacha . Hazrat Umar Ra Ne Farmaya Kya Tum Awais Qarni Ko Jaante Ho Usne Kaha Haan Mera Bhatija Hai Lekin Aap Kyun Pooch Rahe Hain Ameerul Mominin Woh To Pagal Sa Hai Yeh Sunkar Hazrat Umar Ra Rone Lage Aur Kaha Woh Nahi Tu Pagal Hai Poocha Woh Kahan Hai Usne Bataya Ke Woh Arafat Ke Maidan Main Janwaron Ko Charane Ke Liye Gaya Hai . Hazrat Umar Aur Ali Ra Arafat Ki Taraf Bhaghe To Wahan Dekha Ek Aadmi Nafeel Namaz Parh Raha Hai Aur Uske Charon Taraf Janwar Char Rahe Hain . Usko Andaza Hua To Usne Namaz Mukhtasar Karke Jaldi Se Salam Phera . Aur Poocha Ji Aap Kaun .Hazrat Umar Ne Poocha Tum Kaun Ho Usne Kaha ALLAH Ka Banda. Hazrat Umar Ne Farmaya ALLAH Ke Bande To Hum Sab Hain Tera Naam Kya Hai Jo Teri Maa Ne Rakha Hai. Usne Kaha Aap Kaun Ho Mere Bare Main Kuch Pooch Rahe Ho. Hazrat Ali Ne Farmaya Yeh Ameer Ul Mominin Hazrat Umar Hain Aur Main Ali Ibn Taalib . Who Ek Dum Chonk Gaya Aur Kehne Laga Mujhe Maaf Karna Maine Aapko Kabhi Dekha Nahi Tha Isiliye. Phir Hazrat Umar Ra Ne Kaha Haath Utha Aur Humare Liye Dua Kar. Woh Kehne Laga Main Aapke Liye Dua Kaise Kar Sakta Hoon Hazrat Umar R.A. Ne Farmaya Humare Nabi S.A.W Ka Hukm Hai Ke Jab Uwais Mile To Usse Dua Karana ..
Aur Ek Jagah ALLAH Ke Rasool S.A.W Ne Farmaya Jab Sab Jannat Main Ja Rahe Honge To ALLAH Awais Ko Rok Lenge Woh Sochega Ke Mujhe Kyun Rok Liya Pareshan Ho Jayega Phir Jab Sab Jannat Main Chale Jayenge To ALLAH Awais Se Farmayenge Jahannamiyon Ki Taraf Ishara Karke Chal Awais Inki Taraf Ishara Kar Jahan Jahan Tak Teri Ungli Jayegi Un Sab Ko Apne Saath Jannat Main Leja .
Ek Message Diya Gaya Awais Ke Zariye . Kya Amal Tha Uska Jo ALLAH Ne Use Aisa Darja Diya , Hajj? Tilawat? Roza? Tahajjud? Zakat? Nahi Nahi Nahi Maa Ki Khidmat. Maa Ki Khidmat Kar Ne Se ALLAH Ne Na Sirf Use Jannati Banaya Balke Use Yeh Haq Diya Ke Woh Apne Saath Dusron Ko Bhi Le Jaaye . Maa Ki Khidmat Karo Aaj Kal To Aulaad Maa Ko Maaf Karne Ko Tayyar Nahi Betiyan Maa Se Zaban Chalati Hain Larke Bhi Maa Ko Daantte Hain Tez Awaz Main Baat Karte Hain . Maa Ki Khidmat Karo ALLAH Tumhein Who Dega Jo Tum Soch Bhi Nahi Sakte . ALLAH Hum Sab Ko Maa Ki Khidmat Karne Ki Hidayat Aur Tofeeq Ata Kare Ameen . Likhne Main Koi Galti Hui To ALLAH Maaf Kare
Duaon Ka Taalib
Abdul Basit
No comments:
Post a Comment