Guzar gayi Namaz-e-Fajar aur tu sota raha
Qeemti waqt ko khuwabon mein khota raha
Subha namodaar hui par tu bedaar na hua
Umar bhar so kar bhi tu bezaar na hua
Aayi zohar to tujhe kaam ne uljha diya
Be Namazi bana kar kitna tujhe phansa diya
Milega rizq tujhe Namaz ke baad bhi
Palega tera ghar Namaz ke baad bhi
Dekh aa gayi Namaz-e-Asar tawani lekar
Quwwat hai isme tu ise ada kar
Tandrust hai aaj tu ye shukr ada karti
Badan ko apne sajdon ki lazzat diya kar
Chal diya aftab ab ghuroob hone ko.
Namaz-e-Maghrib hai ab shuru hone ko
Khatam ho gaya teri zindagi ka ek aur din
Chala gaya ye bhi haath se tere Nekiyon bin
Ab tujhe chahiye rahat sone se pehle
Isha padh Le apni zindagi khone se pehle
Payega sukoon tu KHUDA ke zikr me hi
Milega Qaraar tere dil ko isi fikar me hi
SONAY K AADAB
ReplyDelete*Wuzu kr k sona.
*3 bar Ayat ul Kursi parhna.
*Km az km 10 ayaat parhna.
*Sidhi karwat sona dayan hath sar k niche aur bayan kamar pe rakhna.
*Sb ko maaf kr k sona.
*Sone ki dua parhna.
*Rat ko bura khwab ajae to baen taraf thook dena.
*Subha uth k jagne ki dua parhna.
Online Naats