Hadees - Jannati Amal Aur Jahannumi Amal

Jannati Amal Aur Jahannumi Amal
Hazrat Ibn e Umar R.A Se Marwari Hai Ke Ek Aadmi Nabi Kareem Sallalahu Alaihi Wasallam Ki Khidmat Main Haazir Hua Aur Arz Kia Ya Rasulullah ! Jannat Amal Kya Hai ? Nabi Kareem Sallalahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Sacha Bolna Jab Banda Sach Bolta Hai To Neki Karta Hai Aur Jab Neki Karta Hai To Imaan Laata Hai Aur Jab Imaan LeAaya To Jannat Main Daakhil Ho Jayega.Phir Usne Poocha Ya Rasulullah ! Jahannumi Amal Kya Hai ? Nabi Kareem Sallalahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Jhooth Bolna Banda Jab Jhooth Bolta Hai To Gunah Karta hai To Kufr Karta Hai Aur Jab Kufr Karta Hai To Jahannum Main Daakhil Ho Jayega.
Musnad Ahmed : Jild Saum : Hadees Number 2137    Hadees Marfuh

1 comment: