Salam.

Assalam u Alaikum , Ek guzarish hai aap sab se jab bhi chat karne aaye ya kisi se mulaqat karein to Salam karein na ki Hi Hello yeh gairon ka tareeqa hai. Salam karne bahut saare fayde hain jinme se ek is hadees main hai . Jab bhi Salam karein to poora aur sahi karein "Assalam-U- Alaikum"aur jawab main "Walekum Assalam" ya "Walekum Salam" saath main "wa rahmatullahi wa barakatuh" to behter hai dekhne main aaya hai ke kuch log aise salam karte hain "Sala Walekum","Assalaikum" aur bhi kai galat tareeke aur chat main sirf "Salam" ,"Slam"etc .ALLAH ka waada sahi amal aur adayegi par hai. Salam ek dua hai, humare pyare Nabi S.A.W ki sunnat hai iska sahi istemaal karein , Musalmanon ki pehchaan hai ALLAH hum sab ko sahi Salam karne ki aur iski azmat samajhne ki toufiq ata farmaye. Please avoid HI HELLO ALLAH kehne sunne se zyada amal ki toufiq ata farmaye aur hum sab ko acha, sacha, namazi, parhezgaar Insaan banne ki toufiq ata farmaye. Likhne main mujhse koi galti hui ho to ALLAH maaf kare.ALLAH hum sab ke gunah maaf kare.  AAMEEN
Aapki Duaon Ka Taalib
Abdul Basit Khan

1 comment:

  1. Ya na socho k ALLAH"DUAA" foran qabool kyun nahi karta,, Ya shukar karo k ALLAH pak hamaray ghunahoon ke saza foran nahien data..
    (Hazrat Ali)(A.S)
    Naat Sharif MP3

    ReplyDelete