Qabar ????? Humara ghar duniya ka yeh ghar jahan saare ash o aram humein haasil hain humein jaan se pyara hai . Ghar ke alawa kahin dil nahin lagta neend nahin aati. Lekin kya humne kabhi us ghar ke baare main socha hai jo humein roz pukarta hai jo humara intezar kar raha hai jahan humein qayamat tak sona hai. Its Qabar hum sabne ek din wahan jaana hai jahan is duniya ki tarah koi ash o aram nahin . Jo gunehgar ke liye itni tang ho jayegi ke dono pasliyan apas mil jayengi kaise kaise aazab hain isme ALLAH hum sab ki hifazat kare Lekin agar hum ALLAH ke nek bande hain to yahi Qabar itni barhi ho jayegi jiski had nahin jannat ki khirki khol di jayegi itna sukun hoga ke insaan jab qayamat ke din uthega to kahega abhi to soya tha abhi uth gaya. Iske liye humein ek Imtehaan dena hai Qabar ki 3 sawalon ke jawab kitna asan hai sawal humein pehle se hi maaloom hain. Duniya ka koi exam hai jo questions pehle batade. Phir bhi hum iski tayyar nahin karte .Kyuuun ?????? humne ek din marna hi hai humein iski tayyar karni chahiye.
ALLAH se qabar ke azab se panah mangein. Qabar ko yaad rakhein bhoole nahin . Isha ki namaz ke baad Surah Mulk parha karein yeh qabar ke azab se hifazat karti hai. Ache Amal karein burayi se bachein. Aur Achi baaton ka hukum karo aur burai se roko . ALLAH hum sab ki hifazat kare gunah se, qabar ke azab se, shaitan mardood se, aur har burai se. ALLAH hum sab ke Gunah maaf kare . Likhne main jo galti hui ho to maaf karna . ALLAH bhi maaf kare .
Apki Duaon ka Talabgaar
Abdul Basit Khan
No comments:
Post a Comment