28th May … Meri zindagi ka ahm din jisne meri life bahut change kar di. 28th May 2005 ko mere father ka inteqaal ho gaya tha. I miss him in every footsteps of my life. He was a true gentleman unse mujhe koi jayedad ya paisa nahin mila lekin unhone mujhe bahut bari daulat di hai imaandari aur sachchai yeh maine apne fathe se hi seekhi hain. Meri studies bhi poori nahin hui thi aur ALLAH ne unhein apne paas bula liya mere ghar par us din sirf rona hi tha. Maine apni maa ko rote hue dekha yeh baat sochi jaye to bahut ahm hai . Maa Baap ALLAH ki taraf se bahut bara tohfa hai humare jiski hum qadar nahin karte aur jab who humse door chale jaate hain to bahut afsos hota hai. Maa Baap ki izzat karo duniye ki cheezon ke liye unhein na choro. Kher Aaj aap logon se meri Darkhwast hai ke mere father ke liye dua karein. ALLAH unki magfirat kare aur unhein Jannat main aala muqaam naseeb kare. Aur jisse ho sake woh thora Quran parh kar Bakhash . ALLAH aap sab par maa baap ka saaya humesha banaye rakhe. Ameen
apni maa ko rote dekhna
ReplyDeletezindagi me agar koi sab se dukh bhara lamha hota hena
toh bs wohi hota he
mene apni maa ko buhat bar rote dekha
aur woh ek ek pal mujhe yad he
jab meri nana nani guzar gae
aur 2 times mere behave p roen thi
i m feeling werst... :(
i cant forgive myself :(
allah apke father ko jannat naseeb kare
hamari duaen unke liye hen
and you are also so brave bhai...
kabhi bhi mujhse koi bura kaam hojae toh ap
dant dena... please
thora naraz hota hun
but
phir samjh jata hun :(